Pages

Sunday, 20 April 2014

Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta, HAZRAT ALI (R.A), Aqwal e Hazrat Ali (R.A), Golden Islamic Words,


Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai
  HAZRAT ALI (R.A)


Aik Shakhs Ne Hazrat ALI(R.A) say Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna



2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
 1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
(HAZRAT ALI (R.A)


Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
(HAZRAT ALI (R.A)



Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
(HAZRAT ALI (R.A)



3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
(HAZRAT ALI (R.A)






No comments:

Post a Comment